Hey , dosto to kaise hai aaplog ummed hai acche hee honge . Jaisa ki aap logo ko pata hai ki Indian Govt. ne 2 kafi bade application ko ban kar diya hai jinka bahot bada market hold tha india jaisi country mein unme se ek app hai Tik Tok .
Tik Tok ek kafi jyada teji se grow karne vala sabse pehla social media platform tha jo ki india mein kafi jyada use kiya ja raha tha . Iske ban hone ke karan Instagram ne reels ko lauch kiya jo ki tik tok jaisa hee platform hai or ab youtube ne youtube shorts naam ka platform launch kiya jo ki kafi jyada similar hai tik tok se .
To aaj ka humara topic hai vo yahi hoga ki youtube shorts par videos kaise banaye . Usse pehle hume ye janna hoga ki youtube kya hai ?
Youtube Kya Hai ?
Dosto youtube bhi ek social media platform hai jo ki videos share karne ke liye kaam mein aata hai bs isme ye hai ki tik tok jaise 15-60 seconds ki video upload karne ke bajaye aap ghnato ghnato ki video bhi upload kar sakte hai .
Youtube Shorts Kya Hai ?
Youtube shorts Tik Tok jaisa hee platform hai , Ye abhi sirf india mein lauch hua hai or isme bhi aap 15-60 seconds ki video upload kar sakte ho .
Youtube Shorts Par Video Kaise Banaye ?
youtube shorts par video banane ke process ko mein aapko step-by-step btaunga to bane rahiye humare sath .
Step 1
Sabse pehle aapko Youtube App Ko Google Play Store Se Downlaod Karna Hoga , Agar aapke pass app hai to aap use update kar lijiye
Step 2
Ab aap youtube aap ko khole or ek dum centre mein plus ka icon dikh raha hoga aap us par click kare
![]() |
How to make videos on YouTube shorts in hindi |
Step 3
Ab aapke samne 2 option aa rahe honge , lekin aapko pehle option par click karna hai jo ki video ka hai
![]() |
Youtube shorts par video kaise banaye |
Step 4
Ek dum top par aapko dikh raha hoga likha hua create a short us par click kare
![]() |
Youtube shorts par video kaise banaye |
Step 5
Dosto ab aapke samne kafi sare option aa rahe honge to aap confuse mat hoiye , centre mein aapko dikh raha hoga red colour ka button jis par click karke aap video bana sakte hai or uske baju mein aapko dikh raha hoga upload ka option jis par click kar ke aap video ko apni gallery mein se upload kar sakte hai

Step 6
Agar aapko koi music select karna hai to to aap vo bhi badi aasani se kar sakte hai , top mein centre mein dekhiye vaha par add music likha hua us par click kar ke aap music add kar sakte hai


Step 7
Video bn jane ke baad upload ke right ke button par click kijiye phir aapke samne option aa jayega video ka title , description , privacy or location select karne ka , Ye aapke upar hai aap isme kya bharte hai jis bhi topic pe aapki video hogi aapko usi se releated title or description dalni hogi

Step 8
Last Step upload ka option mil raaha hoga top right corner mein ab aap us par click kar do or aapki pehli youtube shorts upload ho jayegi

Conclusion – Dosto Upar Diye Gaye Steps Se Aapko Clear Ho Gaya Hoga Ki Youtube shorts par videos kaise banaye , Agar Aapke Man Mein Abhi Bhi Koi Doubt Hai To Aap Humse Comments Mein Puch Sakte hai
Thanks Dude You are God for me You are mind blowing
I Really Like Your article
Thanks For Sharing this premium knowledge free of cost Very
Nice
Dude boy
Awesome knowledge